MOHARRAM KA KHICHDA HEE PAKANE,USME CHANDA DENE AUR USKE KHANE KA HUKM

MOHARRAM KA KHICHDA HEE PAKANE,USME CHANDA DENE AUR USKE KHANE KA HUKM

⭕AAJ KA SAWAL NO. 2933⭕
A
Kya farmate hain ulama e kiraam is baare me ke muharram me khichada hee pakaya jaaye?
khichde ke saboot ke taur par bayaan kiya jaata hai ke Hazrat Nooh علیہ السلام ki kashti aashoorah ke din judi pahad par thhehri to unhone bataure shukranah khichda pakaya tha isliye ham bhi pakate hain.
Is riwayat ka kya hukm hai?
Barelvi aur deoband ke maane huve hawale se jawab dene ki guzarish.

B.
Aashoorah ke din khichda pakane walon ko chanda dena aur chanda wasool karna kaisa hai ?

C.
Khichda ham na pakaye aur kahin se aa jaae to le sakte hain ya nahin ?

https://chat.whatsapp.com/Fci0WhvRJWjFrTkuW0kGCN

🔵Jawab🔵

حامد و مصلیا و مسلما

A.
Hazrat Nooh علیہ السلام Ki kashti ne toofan se najaat paayi aur judi pahaad par thehri, Hazrat Nooh علیہ السلام ne bataure shukranah kashti me maujud 7 qism ke gallo (anaaj) ka huboob (khichada) banaya. is riwayat ko bhi devbandi wa barelvi ulamaa ke sartaaj hazrat maulana shah Abdul Haq muhadise dehlvi rahmatullahi alayhi ne mawzooa (banavati) qaraar diya hai.

📚Maa Sabat bis sunnah 16/6

mawzua (banavati) hadees ki misaal dete huve farmate hain ke “ka fis salati, wal iktihaali, wa tabkhil huboob. zaalika qullun mawzuoon wa mafturaa”
Jaise ashoora ki namaz ki fazilat, surmaa dalne ki aur khichda pakane ki aur iske alawa tamaam fazilat mawzua aur iftraa (bohtaan) hai,
📚Barelvi aur ulama e deoband ki maani huyi kitaab maa sabat bis sunnah
Safa 17.
Lihaza khichda hi pakana zaruri nahi.
Ahlo ayaal ko pasand ho wohi pakana chahiye. usdin ahlo ayaal par wus’at (kuchh ziyadah) kharch karne ki fazeelat muft me taqsim hone wale khichde ki wajah se ba’azon ki chhut jati hai.
B.
Lihaza isko sawab samajh kar banana bid’at aur na-jaiz hai. is me jaani ya maali hissah lena bhi durust nahin, mashhoor kitab ‘al bidayah wa nihayah’ tareekh (itihas, history) ki paaye ki aham purani kitab hai, jise barelvi ulamaa bhi mante hain, usme saaf likha hai ke khichda pakana, us din khushi manana kharjiyon (ahle bait-khandane Nabi Salallahu Alayhi va Aalihi Wasallam ke dushmano) ka shiaar (khas nishani) hai

📕 Al bidayah wan nihayah 8/203

C.
Agar ghar par koi khichda bheje to use lena bhi na chahiye, taake bidat aur rasm par tambeeh ho sake, aur pakane walon ki islah ho.

📗Kifayatul mufti 1/226

📕Bahishti zewar 6/61

📘Deenee masail aur un ka hal safa 85,86 se makhooz.

Hazrat Mufti Salman mansoor puri d. b. ki kitab.

📝 Mufti Imran Ismail Memon.

🕌 Ustaze Darul Uloom Rampura, Surat, Gujarat, India.

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *