ASHOORAH 10 MUHARRAM ME WOH BAATEN JO GALAT HAIN
⭕Aaj ka sawal number.2935⭕
Woh konse a’maal hain Jo Aashurah ke din ya’ani 10 muharram ko sunnat se saabit NAHIN hai ? In ko khaas aaj ka amal aur khaas fazeelat samjh kar karna galat hai.
🔵Jawab🔵
Niche woh kaam likhe jate hai jo khaas aaj ka amal aur khaas fazeelat samjh kar karna galat hai.
❌ 1) Gusl karna ya’ani khaas aashurah ke din ki niyyat se
❌ 2) Kapde badalna
❌ 3) Khushboo lagaana
❌ 4) Surma lagaana
❌ 5) Makhsoos namaz Ada karna
❌ 6) Marsia khwani karna
❌ 7) Masjid me jamaa ho kar nawafil padhna
❌ 8) Maatam karna
❌ 9) Qabro par mitti dalna
❌ 10) Ta’ziya banana
❌ 11) Nange sar rahna
❌ 12) Nange pair rahna
❌ 13) Kaala kapda pahanna
❌ 14) sar par khaak daalna
❌ 15) sar ko peetna
❌ 16) bachchon ko qaidi faqeer banaana
❌ 17) Sharbat banaana
❌ 18) Sharbat pilana
❌ 19) Makhsoos qism ka khana banana
❌ 20) Sirf muharram hi me sabeel lagana;
📗 MAA SABAT BIS SUNNAH ME BARELVI AUR DEVBSNDI ULAMA KE MUATAMAD SHAH ABDUL HAQ MUHADDISE DAHELVI R.A. IN CHEEZON FAZAIL KI TAMAM RIWAYAT KO MAVZOOA-BANAWATI QARAR DIYA HAI
📚Fatawa Mahmoodia 3/274 aur uske aas paas se makhooz
و الله اعلم بالصواب
✏Tasdeeq Mufti Imran Ismail Memon sahab
🕌Ustaad e daarul uloom Rampura surat, Gujarat, India