Aurat ke liye hajj ka hukm

AURAT KE LIYE HAJ KA HUKM

⭕AAJ KA SAWAL NO.1061⭕

Aurat ko haj ke safar ke barey me kya hukm hai..?

🔵JAWAB🔵

حامدا و مصلیا و مسلما

Aurat ke liye bagair mahram ke safar karna shar’an jaiz nahi hai, is liye wo haj par qaadir us waqt samjhi jayegi jab ke uske sath koi mahram haj karne wala ho. Chahe mahram apne kharch se haj kar raha ho ya yeh aurat uska kharch bardasht karey, isee tarah wahan pahunchne ke liye raasta aman wala hona bhi taqat ka ek hissa hai, agar rasta me bad-amani, jaan-maal ka qawi [pakka] khatra ho to haj ki taqat nahi samjhi jayegi.

📚ma’riful quran-2/122 se maakhuz

و الله اعلم بالصواب
✏Mufti Imran Ismail Memon

🕌Ustaad e daarul uloom Rampura surat, Gujarat, India

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *