Hajj e badal ki wasiyyat

HAJJE BADAL KI WASIYYAT

⭕AAJ KA SAWAL NO.1765⭕

Kis shakhs par hajje badal ki wasiyyat lazim hai?

🔵JAWAB🔵ؔ
حامدا و مصلیا مسلما

Jis shakhs me darjah e zail sharait paye jaye us par bajje badal ki wasiyyat karna lazim hai.
1.Woh shakhs musalman ho.
2.aaqil balig mukallaf ho.
3.us par mali aur jismani aetibar se haj farz ho chuka ho.
4.Haj farz hone ke baad woh khud haj karne par qaadir na ho yaato isliye ke ab us ke paas maal nahi raha ya jismani sihhat khatm ho chuki hai. (Aorat ho to us ko haj me le jane ke liye shohar ya mahram nahi mila)
5.ye aajiz hona maut tak raha ho chahe aesa uzr ho jo khatm ho sakta ho jaise qaid me hona,paagalpan, badi bimari hona ya aesa uzr jo maut tak rahe jaisa buhapa ya laa ilaj bimari

KITABUL MASAIL 3/361

و الله اعلم بالصواب

🌙🗓ISLAMI TAREEKH :
JUMADUL UKHRA 1440 HIJRI

✍🏻Mufti Imran Ismail Memon Hanafi Chishti.
🕌 Ustaze Darul Uloom Rampura, Surat, Gujarat, India.

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *