Baap ka apne gharwalon ki taraf se qurbani karna
sawal
Baap apne bachchon aur ghar walon ki taraf se har saal qurbani karta hai, to gharwalon ki ya bachchon ki ijazat lena zaruri hai ?
Jawab
Agar baap ka ma’amul hai ke wo har saal apne biwi bachchon ki taraf se qurbani karta hai, to sab ki taraf se qurbani durust hai, ghar walon ne ijazat di ho yaa na di ho.
Haan agar har saal bachchon ki taraf se qurbani karne ka mamool nahi hai balke kabhi kabhi badey bachche apni qurbani khud bhi kar lete hai to un ki ijazat lena zarooree hai, warna qurbani saheeh nahi hogi.
Kitabul masail 227 se makhooz.