Qurbani me allah ka hissa rakhna
sawal
Ba’az log qurbani me allah ka hissa rakhne ko kehte hai to ye kaisa hai ?
Jawab
Ba’az log badey janwar me allah ka hissa rakhne ke mutalliq puchhte hai to ye baat yaad rahe ke tamaam hisse aur tamaam qurbaniyan allah ta’ala ke liye hi hoti hai, urf (bol-chaal ke riwaj me) ‘mera hissa’ ‘fulaan ke naam ka janwar’ bol diya jata hai, haqiqat me niyyat ye honi chahiye ke fulaan ki taraf se hissa ya qurbani allah ta’ala ke liye me zabah karta hun.
Deeneemalumat parcha 76