AAJ KA SAWAL NO.2559
Bachche ki viladat par kiya -kiya karna chahiye?
JAWAB
Bachche ki viladat par Sab se pehle us ke dayen kaan me azan aur bayen kaan me iqamat kahi jaye.
Fir tahneek kari jaye yani kisi Allah Wale se khujoor chabwakar pehle se taiyyar rakhi jaye bachche ko maan ke dudh se bhi pehle ye khujoor me se ek chapti-thoda sa us ke talu par laga diya jaye bachche pet me sab se pehle kisi Allah Wale ka luaab- thook wali cheez jayegi jis ke Nek Asrat bachche par padenge.
Fir satwen din Us ka nam anbiya alahimus salaam, sahaba RADEEYALLAHU ANHUM ya awliyaa e kiram Rahmatullahi alayhim ke namon me se koi nam rakha jaye Fir Us ke sar ke bal mundwaye jaye aur us bal ke wazan Ke barabar sona ya chandi Ya Us ki qeemat sadqah ki jaye aur dil chahe to us bachche ke sar par zafraan mala jaye.
Fir satwen din aqeeqah kiya jaye ya satwen ka khiyal karte huwe 14ve din ya 21ve din aqeeqah kiya jaye masalan bachcha peer ke din paidah huwa hai to itwar Ke din aqeeqah kare
Ladka ho to do bakre ya bade me do hisse aur ladki ho to ek bakra ya bade me ek hissa rakhe aqeeqah ki barkat se bachche se aafat bala tal jati hai.
Not:Ladke ke do bakre afzal hai Agar koi ladke ke ek Bakra zabah karna kare to bhi aqeeda ada ho jayega
Aqeeqah ke janwar aur gosht ke wahee sharten aur masail Hai jo qurbani ke janwar aur gosht ke hai.