BANK ME PAISE BILA MAJBOORI RAKHNA

⭕AAJ KA SAWAL No. 2637⭕

Bageir kisi majboori ke bank me rupiye jamaa rakhna kaisa hai?

🔵JAWAB🔵

حامدا و مصلیا مسلما

Bank me raqam jama karane ki 3 soorte hain :

1️⃣. Soodi khata (Saving Account)

2️⃣. Gair soodi khata (Current Account)

3️⃣.Locker.. Soodi khaate me raqam jama karana haraam hai, isme sood lene ka gunah hoga jis par Allah ta’ala aur Rasulullah (Sallallahu Alayhi va Aalihi Wasallam) ki Taraf se shadeed tareen Va’eede hai, Is ke Alaawah is me ta’aawun al-al ism (gunah par madad) karna hai. Yah raqam soodi kaarobar me istimal hogi. ;

Current Account me raqam jama karana bhi jaaiz nahi, kyunki usme agarche sood lene ka gunah nahi hai, magar ta’aawun al-al ism ka gunah hai.

Locker me jama karana bhi jaaiz nahi, kyunki usme agarche sood lene aur ta’aawun al-al ism ka gunah nahi hai, magar Bank ke haraam paise se bane huve khaane (drawer) ka istemal ka gunah hai, shadeed majboori ke waqt usme raqam jama karai jaa sakti hai; lekin fir bhi istigfaar laazim hai.

Haan karobar ke aetibar se qanooni majboori ho to pahle current account me woh na ho sake to saving account jitna ho sake kam paisa jama rakhe.

و الله اعلم بالصواب

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *