AAJ KA SAWAL NO. 2635
Wuzu me teen martaba se ziyadah a’aza dhona kaisa hai?
JAWAB
حامدا و مصلیا و مسلما
Wuzu me a’azaa ko teen martaba se ziyadah dhone ki chand surten hain.
. Agar teen se ziyadah is e’atekad se dho raha hai ke yah sawab ya sunnat hai to makruhe tahrimi (haraam ke qarib) hai.
. Agar yeh e’atikad nahin magar bila wajah kar raha hai to bekaar hone ki wajah se makruhe tanzihi hai.
. Agar kabhi shak ko door karne aur dil ke itminaan ke khatir teen se ziyadah baar dho liya to koi karahat nahin.
. Albatta masjid aur madarsah ke waqaf paani se teen baar se ziyadah dhona haraam (gunahe kabeerah) hai.
Aajkal masjid ke paani se khususan pairon ko teen martaba se ziyadah dhoya jaata hai, koi shumar hi nahin bas paani dalte hi jate hain. lihaza isse bachne ka ehtimaam kare kyun ke Hazrat Mufti Mahmood Hasan gangohee رحمت اللہ علیہ farmate the ke wuzu me paani fuzool kharch karne se namaz ka khushu’a (dhiyan) khatm ho jata hai.
AHSANUL FATAWA- 2/15, IBARAT KI ASAANI KE SAATH
و الله اعلم بالصواب