BARISH ME RASTON KA KICHAD LAGNA

BARISH ME RASTON KA KICHAD LAGNA

AAJ KA SAWAL NO. 1778

Aaj kal baarish ka mausam hai,to usme kabhi chaalu baarish me hamare kapado par chhin’te udte hai,

Aur kabhi baarish ka paani raod waghairah par jama ho jata hai aur uske chhin’te udte hai to kya uski wajah se kapada ya badan naa-pak hoga ya nahi?

Jawab حامدا و مصلیا و مسلما

Baarish me sadako par behne waLa paani,Agar usme naa-paki (gobar,peshab wagairah) ka Asar (Badbu,& Rang) wagairah zahir ho jaisa ke umuman Shahro wagairh me jab pehli barish hoti hai tab peshab, gobar wagairah ka asar dekha jata hai to ye pani naa-pak hai,

Agar ye pani kapado ya badan par Lagta hai to kapade naa-pak ho jaye ge, un kapado ko paak karna zaruri hai,

usi ke sath namaz sahi nahi hogi Lekin agar barish hoti rahi aur gandagi beh kar chali gai,aur ab pani saaf suthra nazar aane Laga, ya Sadak pehle hi se saaf suthri thi aur us par paani bahaa, ya dihaat ke kacche raasto pe paani mitti ke sath ful mil gaya aur usme bhi koi naa-paki ka asar nahi dikh raha to wo paani naa-pak nahi hoga.

Lihaza wo paani kapde ya badan par Lage to kapada ya badan naa-pak nahi hoga barish ke zamane me kichad ke chhinte kapado par Lag jate hai uske bare me tafsil ye hai,

Agar koi aisa shakh’s ke jisko bar bar kichad wale raaste se guzarna padta hai aur uske Liye har bar kapade ka dhona dushwar ho to aise shakh’s ke haq me zarurat ki wajah se raaste ke chinte muaaf hai.

agar che zyadah miqdar me hi kyun naho; aur usi chhin’to wale kapado ke sath hi uski namaz durust hoja yegi Lekin aisa shakh’s jis ko bar bar rasto se guzarne ki zarurat nahi hai aur wo in chin’to se bach bhi sakta ho to uske Liye thode chin’te to muaaf hai,

Lekin agar aise shakh’s ke kapde ya badan par zyadah miqdar me chhin’te Lag jaye to uske Liye muaaf nahi hai, uske Liye use dhokar hi namaz padna durust hoga.

KITABUL MASAIL 1/101

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *