IMAAN AUR ISLAM KA MATLAB

IMAAN AUR ISLAM KA MATLAB

AAJ KA SAWAL NO.1830

Islam aur imaan me kya farq hai ?
muamin ka darja barha huwa hai ya muslim ka ?
dono me inaamat aur sawab kis ko zayada milega ?

JAWAB
حامدا و مصلیا مسلما

Imaan shareeat ki zubaan me dil se sachcha maanne ka naam hai, aur islam zahir ke aetibar se Allah ke hukmon par amal aur nabi SALALLAHU ALAYHI WASALLAM ke tareeqe ka naam hai.

lekin Allah aur us ke rasool ko dil se schcha manna ke aetibar ka kam se kam darja ye hai ke zaban se kalmah padhe, aur zahir amal ka aetibar usee waqt hai jab ke us ko dil se bhi maane,

imaan andar ke aamal ko kehte hai, aur islam baahar ke aamal ko kehte hai, imaan sharooat hai, islam us ka akheer-end hai, imaan ki shurooat andar se ho kar us ka asar baahar aata hai aur islam zahiri aamal se shurooa hokar andar ki tasdeeq tak pahonchta hai.

iman aur islam dono ek dusre ke liye zaroori hai, lugat- dictionary ke aitibar se dono me farq ho sakta hai lekin sharaee mafhoom ke aetibar se dono ek hai.

lihaza muamin aur muslim dono ko sawab aur maqam barabar milega.

ON LINE FATAWA DARUL ULOOM DEWBAND SAWAL NO. 171943 BA HAWALA MA’RIFUL QURAAN

و الله اعلم بالصواب

ISLAMI TAREEKH : 21 ZEELHIJJAH 1440 HIJRI

Mufti Imran Ismail Memon Hanafi Chishti.
Ustaze Darul Uloom Rampura, Surat, Gujarat, India.

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *