Berune mulk (foreign) ki qurbani india me
AAJ KA SAWAL NO. 1455
A.
Hamare yahaan u.k. Me 10 zil hijjah ya’ani eid ka din ho aur hamen apni qurbani india me usee din karni ho, halan ke us din india me 9 zilhijjah ho to hamari qurbani india me us din ho sakti hai ya nahin ?
B.
Agar makkah me 13 zil hijjah ho ya’ani qurbani ka waqt nikal gaya ho aur india me 12 zil hijjah ho ya’ani qurbani ka waqt baaki ho to is surat me agar koi haji apni qurbani india me karaye to sahih hogi ya nahin ?
Jawab
A.
Jabtak ke india me
Qurbani ke din shuru’a na ho yahan dusre mulk walon ki qurbani sahih nahin hai. Kyun ke qurbani sahih hone ke liye malik aur janwar dono ka fil jumlah aetibar hai ya’ani muakkil ya’ani qurbani karvane wale par qurbani ka wujoob aana chahiye aur janwar jahan hai wahan qurbani ka waqt hona chahiye. Puchhi hui surat me uk wala jo qurbani karva raha hai us ke zimme to qurbani ka wujoob aa gaya hai lekin india me jahan janwar hai wahan qurbani ka waqt nahin aaya hai lihaza uk wale ki qurbani india me 9 zihijjah ko ek din pehle nahin ho sakti hai qurbani sahih hone ke liye india me bhi 10 zihijjah hona zaruri hai.
B.
Mazkoorah surat me qurbani sahih hai us ki pehli wajah
Makkah me 13 zil hijjah hone ki surat me sababe wujoob ya’ani jiske zimme qurbani ho uska qurbani ke dinon me qurbani par qadir hona yeh us haji ke haq me pehle hi se paya gaya aur dusri shart wujoobe adaa ya’ani qurbani ke waqt ka maujud hona. Janwar india me maujud hai yeh shart bhi yahan pai gayi lihaza bila shak woh haji apni qurbani ka vakil kisi ko india me bana de to 12 zil hijjah ko bhi us ki qurbani sahih hai.
Dusri wajah agar woh qurbani ka vakil banane wala khud 13 zilhijjah ko makkah se safar kar ke india aata aur yahan12 zilhijjah ko qurbani karta to durust tha to wahan rehkar vakil banaye to batarike awla hoga.
Kitabun nawazil 14/553 se 558 ka khulasah
Mufti imran ismail memon ustaze darul uloom rampura surat gujrat india