BEWAH KE NIKAH KI AHMIYAT
(Aaj ki haalat Zeena kar lena asaan par bewa se nikah na karna mushkil)
🌷HAZRAT ASMAA BINTE UNAIS KA DUSRA NIKAH:
Gazwa-e-muatah se wapasi ka manzar hai ke hazrat asma bint-e-umais Ø“ mujahideen ki wapasi ki khabre sun rahi he – apne pyare shohar hazrat jafar taiyyarØ“ radeeallahu anhu ki intizaar me aankhe bichae bethi hai,apne bachcho ko bhi taiyyar kar liya hai, door se aahat ki aawaz sunai deti he lekin jab ye dekhti he ke ye ye jafar Ø“ radeeallahu anhu nahi balki nabi-e-paak muhammad ï·º ki zate mubarak hai,Hazrat asma Ø“ andaze se hi samajh jati he ke unki ke humsafar,hijrat ke sathi aur pyare shohar hazrat jafar Ø“ unse bichad chuke he.
Yahi muamla humare muashare me hota to hazrat asma Ø“ ko puri zindagi bachcho ke sath tanha halat ka muqablah karne ke liye chod diya jata.
Lekin wo nabi-e-kareem Muhammad ï·º aur unke tarbiyat yaaftah sahaba kiram radeeallahu anhu ka kushadah-khula dil rakhnewalon ka daur (zamana) tha,ek musalman bewa ko kaise in haalat aur jazbaat ke dhakke khane ke liye akela chhod diya jata?
HAZRAT ASMA RDI.KA DUSRA NIKAH
Yaar-e-gaar ,gair ambiya me sab se zayada afzal shaksh yani hazrat abu bakr siddiqؓ ne unhe apni zawjiyyat (nikah) me le liya or bachcho ko baap jaisi badi shafqat aur muhabbat mayassar aa gai,
allah ne unhe ek beta bhi ata farma diya.
Fir kuch arse baad hazrat abu bakr siddiqؓ ka wisaal (intiqal) ho gaya,
hazrat asma bint-e-umaisؓ ne gusl dilwaya.
🌷HAZRAT ASMAA RD.KA TISRA NIKAH:
2 Dafa bewah hona humare tang nazar muaashare ke liye to anhoni baat hai ke wo gairat mand 2 mard in baato se nawaqif the. Musalman aurat ko fauran muasharti dhaare ki zindagi me Rang liya jata tha taake use tane tanha nafsiyati aurr jazbati jang na ladni pad jae.
Is dafa aage badhne wale gairat ke paikar koi or nahi, balke shere khuda, abu turab, fatih-e-khiaibar Hazrat ali ؓ radeeallahu anhu the, aap hazrat jafar ؓ ke chote bhai bhi the lekin aapne sirf bhatijo ki kafaalat-paalne ki zimmedari hi nahi li balke farzand-e-abu bakrؓ ko bhi usee muhabbat se paala.ham un ke jaisa banne ki dil me khwahish bhi karte he, un jaisa banna bhi chahte he,lekin jab nafs par zad aaye to khamoshi ki chadar odh lete he,
Bewah aurr uske bachcho ko tahaffuz dena aisa us muaashare me racha basaa kaam tha ke is ke liye koi taqreer karne,koi tahreek chalane,koi hikmat-e-amli banane ki zarurat nahi thi.
Aur humara muashara aur humare rawayye,,,,,?
🌹Ek aur pakiza sahabiyyah hazrat aatiqah ؓ ki misal samne rakhna chahunga.
HZ.ATIQAH KA PEHLA NIKAH:
Hazrat abdullah bin abu bakr ؓ se hua, aapؓ bahut khubsoorat thi or is jode ki muhabbat arab me ek misal ban gai thi.
Hazrat abdullah bin abu bakrؓ ne ek din muhabbat me aa kar unse ahad (wada) karwa liya ke me agar aapki zindagi me wafat pa gaya to aap dusra nikah nahi karengi,.
Fir hazrat abdullah Ø“ kuch arse baad shaheed ho gae lekin is muashare me bewah khatoon ko tanha chodne ki misal aqal ko hairat me dalnewali thi, is liye bado ke samjhane par aap nikah-e-sani ke liye razi ho gai.
🌹H.ATIQAH RD KA DUSRA NIKAH:
Hazrat umarؓ jo aapke chacha zad bhai bhi the unhone hazrat aatiqahؓ ko apne nikah me le liya.
🌹H.ATIQAH RD.KA TISRA NIKAH:
Kuch arsa baad hazrat umarؓ bhi shaheed ho gae.
Iddat puri hone ke baad sahabi hazrat zubair bin awamؓ ne nikah ka paigam bheja or ab hazrat aatiqahؓ unke nikah me aa gai.
Kuch arsa baad hazrat zubairؓ ne bhi jam-e-shahdat naush kiya.
Aapؓ ke bare me mashhoor ho gaya tha ke jise shahadat ki tamanna ho wo aapؓ se nikah karle.
Isi munasabat se aapؓ ko shuhda ki zawjah kaha jata tha.
Is azeem misal ka apne muashare se muqablah kare!
Allah allah…kaisa khule dil wala muashara tha aurr hum or humara muashara kaisa tang nazar aur Becheni ka shikar muasharah hai, aisa muasharah jaha bewah ko tane tanha haalat ka muqabla karne ke liye chhod diya jata he.Jin mushkilat aur masaaib ke pahad,mardon ki nazro aur dusri aurto ke taano ke sath ye khawateen zindagi guzarti he,uski tafseel aap apne ird gird, apne khandan ya apne muhallah ki kisi bhi bewah se jaan sakte he.
Hum kab tak aasaniyo, maslihato aur be ja khauf ka shikar rahenge. Sirf sahaba kiram ke daur ki baat karne ya unki misale dene se us daur ke samaraat-fawaid aur barkaat nahi aaenge. Balke unhe amali taur par har shobe me ahistah ahistah naafiz karne se ye sab kuch hasil hoga.
Yaad rakhe! sahaba kiramؓ humari tarah guftar ke gaazi nahi, balke kirdar ke bhi gaazi the.
TRANSLATED BY
MAULANA SHAHID MANSURPURI
SAGRAMPURI DB.
â•GUZARISH IS MSJ KO VIDHUR-JIN KI BIVI NA RAHI HO AESE MARD AUR BEWA ,MUTALAQQAH AURAT YA UN KE GHARANE TAK PAHONCHAWO TAKE UN KO NIKAH SE SAHAARA MILE AUR UN KI NIGAHON,SHARMGAH,ISMAT WA IZZAT WA IMAAN MAHFOOZ HO.