Bivi Ke Sath Zindagi Guzarne Ki Sunnaten Wa Aadab
AAJ KA SAWAL NO.3353
Shauhar ke liye buvi ke sath zindagi guzarne ki kya sunnaten aur aadaab hain?
Us baare me badi kotahi ho rahi hai.
JAWAB
حامدا و مصلیا و مسلما
Qura’an wa hadees ki roshni me shauhar ke zimme jo bivi ke huqooq aur sunnaten hain woh hasbe zail hain :
- Shauhar ka bivi ke samne achchhi haalat me rehna (Saaf suthra khushbudaar rehna)
- Shauhar ka apni bivi ko wohi cheez khilana jo khud kha raha ho.
- Aurat ko usee meayar (catagory) ke kapde pehnana jis meayar ke khud pahan raha ho.
- Narmi se baat karna.
- Bivi se husne sulook karna aur usse pahonchne wali takaalif ko bardasht karna.
- Ghar ke kaam-kaaj me bivi ka haath batana.
- Jaiz wa’adon (promises) ko poora karna,
- Ek se zyadah biviyon me baraabari karna,
- Na munasib kaamon par pehle naseehat karna,
- Nasihat se fayda na ho to sone ki jagah ko alag karna.
- Agar yeh tariqah bhi mufeed saabit na ho to hudoode shareeat me reh kar kuchh halki si pitayi karna,
- Aurton ko munh par na marna,
- Bivi ki saheliyon aur rishte daron ka ikraam karna.
- Us ki izzat kare,us se muhabbat kare,
- Shareeat ki had me rehkar us ko razi rakhne ki koshish karen.
- Us ke gharwalon ko achchhe naam se yad kare,un se milta rahe Mukhtalif mavaqe aur taqreebat-khushi ke waqt un ki dawat kare.
- Us ke Raaz aur aib ko na khole.
- Zaroori deenee muaamalat ki taleem dena.
- Raat der tak ghar se bahar na rehna.
- Burayi me mashhoor aurat ki sohbat se mana karna.
KAAMYAB IZDIWAJI ZINDAGI KE SUNEHRE USOOL SAFA 288 se 293
و الله اعلم بالصواب
SUNANO A’ADAAB SAFA 272
ISLAMI TAREEKH :9 RABEEUL AWWAL 1445 HIJRI
Mufti Imran Ismail Memon Hanafi Chishti.
Ustad e Darul Uloom Rampura Surat, Gujarat, India.