BIVI KO POCKET MONEY DENA

BIVI KO POCKET MONEY DENA

⭕AAJ KA SAWAL No. 2972⭕

kya bivi ko pocket money deni chaahiye?

🔵JAWAB🔵

حامدا و مصلیا مسلما

Shauhar ki akhlaqi (naiteek) zimmedaaree hai (mustahab hai) ki vah apni bivi ko zarooree Nafqe bharan-poshan ke alaava pocket money ke liye kuch paise deta rahe.
Hazrat Hakeemul ummat Maulana Ashraf Ali thanvi rahmatullahi alaihi farmate hain ke:
“Bivi ka bhi haq hai ke kuchh paise diye jayen jinko voh apni chahat ke mutabiq kharch kar sake, yah raqam uski bivi aur uski Maali haisiyat ke mutabiq ho sakti hai”.

🗃️: daarul-iftaa jaamiah uloom al-islaamiya binnori town
Fatwa number: 143909202048
jari karne ki tareekh: 24-08-2018

و الله اعلم بالصواب

✍🏻 Mufti Imran Ismail Memon Hanafi
🕌 Ustaze Darul Uloom,
Rampura, Surat, Gujarat, India.

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *