GURUDWARA,PARK AUR SADAK PAR JUME KI NAMAZ KA HUKM

AAJ KA SAWAL No. 2669

Kya juma ki namaz gurudwara,park,sadak aur maidan me kuchh bichhaye bagair padh sakte hai?

🔵JAWAB🔵

حامدا و مصلیا مسلما

is ummat ke liye zameen ko paak qarar diya gaya hai isliye sadak ,park wagairah ki jaga par jab tak napaki ka asar yani us ki bad bu ya rang dikhai na de to bagair kuchh bichhaye bhi namaz ada ho jayegi.agar wahan napaki kabhi hoti bhi to zameen aur sadak sukh jane se paak ho jati hai.

gurudware ya kisi non muslim ki mazhabi jaga par ho to wahan samne jandar ki tasweer ya murti ya qabr nahi honi chahiye kyun us me murti aur qabr ibadat ka shak hota hai.agar ho to tasweer ya murti par kapda dal diya jaye aur samne qabr ho us ke aage kursi wagairah ek foot ki koi cheez aad kar dee jaye pith ke pichhe ya dayen bayen qabr ho to koi haraj nahi.wahan ke zimmedaron ki ijazat ho to juma ki namaz imam ke sath 4 balig musalman mard ya us se zaid log ho aur wahan aur musalmanon ko aane ki ijazat ho darwaza khula ho bila uzr bandh na ho to juma sawal me puchhi gai tamam jagho par saheeh hai khutba dena bhi wajib hai khutba na aata ho to pehle khutbe alhamdu shareef aur dusre me attahiyyat padh li jaye to bhi khutba ada ho jayega.

📗MARAQIYUL FALAH 197

📕DURRE MUKHTAR 3/24,25

و الله اعلم بالصواب
Not: juma ki namaz gurudwara,park aur sadak par saheeh na hone ka msg dr.Sharilk ahmad khan ka jo chal raha hai woh saheeh nahi hai.

✍🏻 Mufti Imran Ismail Memon Hanafi
🕌 Ustaze Darul Uloom,
Rampur Surat, Gujarat, India

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *