Sawal:
Gair Muslim Se Mantar Ke Zariye Ilaj Karana, Bimaree Wagairah Pareshani Me Gair Muslim Se Khilafe Tauheed Mantr Parhakar Dam Karana Kesa Hai?
[Jab Ke Bahot So Ko Us Se Faidah Bhi Hota Hai]
Jawab:
Jab Yaqeen Hai Ke Tauheed Ke Khilaf Aur Shirkiyah Mantra Parhra Hai, To Us Se Ilaj Karana Na Jaiz Hai, Rahi Baat Fayde Ki To Ibne Masood Radeeyallahu Anhu Se Riwayat Hai, Ke Un Ki Ahliya Ki Aankh Me Takleef Hoti Thi, To Woh Ek Yahoodee Ke Pas Dam Kara Leti To Fauran Achachha Ho Jata, To Is Ka Tazkirah Un Ke Samne Kiya, To Ibne Masood Radeeyallahu Anhu Ne Farmaya Ke Asal Me Shaitan Aankh Ko Kuredta Tha, Jese Hee Woh Yahoodee Dam Karta Tha Shaitan Apna Hath Rok Leta Tha, To Ye Shaitani Harkat Hai (Aamil Aur Shaitan Ki Milibhagat Hai. Sifee Amal Me Aesa Hota Hai.
Tumhare Liye Huzoor Salallahu Alaihi Wasallam Ke Batlaye Huwe Kalimat Kafi Hai Woh Kalimat Ye Hai.
اذهب الباس رب الناس و اشف انت الشافي لا شفاء الا شفاءك شفاء لا يغادر سقما
Azhibil Bass, RabbiNnaas, Washfi Antas Shaafee, Laa Shifaa, Illaa Shifaauka, Shifaa an Laa Yugaadiru Suqmaa.
(Ise Tin Bar Parh Ke Dardwali Jaga Dam Kare Aage Pichhe Durood Shareef Parhe)
Fatawa Raheemiyah 1/43
Ba Hawala Talbeese Iblis 1268
Mufti Imran Ismail Memon Gufira Lahoo
Mudarrise Darul Uloom Rampura Surat Gujrat India