Baal Mubarak Ke Dekhne (Ziyarat Karne )Ka Kya Hukm Hai?

Sawal:

Baal Mubarak Ke Dekhne (Ziyarat Karne )Ka Kya Hukm Hai?

 

Jawab:

Hadees Shareef Se Sabit Hai Ke Huzoor Salallahu Alayhi Wasallam Ne Apne Baal Mubarak Sahaba ?Radeeyallahu Anhum  Ko Taqseem Farmaye The.

Fatawa Ibne Taymiyah Me Hai Huzoor Salallahu Alayhi Wasallam Ne Apne Baal Mundwakar Aadhe Sar Ke Baal Abu Talha Radiyallhu Anhu Ko Diye Aur Aadhe Logon Ke Darmiyan Taqseem Farma Diye.

Agar Kisi Ke Paas Ho To Tajjub Ki Baat Nahi.Agar Us Ki Saheeh Aur Qabile Aetimad Sanad (Puri Chain Ho Ke Ham Tak Kis Kis Ke Zariye Pahoncha) Ho To Us Ki Ta’azeem-Ziyarat Karna Bahot Badi Khush Naseebee Hai.

Agar Sanad Na Ho Aur Banawati Hone Ka Bhi Yaqeen Na Ho To Khamoshi Ikhtiyar Ki Jaye Na Us Ki Tasdeeq Kare-(Sachcha Samjhe) Na Takzeeb-(Jhutlaye).Na Ta’azeem Kare Na Tauheen Kare.

Baal Mubarak Aur Dusre Nabavi Tabarrukat Khairo Barkat Ko Vajib Karnewale Hain Aur Us Ki Ziyarat Se Ajro Sawab Milta Hai.

Use Dekhne Me Mardo Aur Aurato Ka Melap Na Ho Hazrat Aaishah Radiyallahu Anha Apne Zamane Ki Aurto Ke Mutalliq Farmati Hai Ke Rasoolullah Sallallahu Alyhi Wasallam Is Zamane Ki Aurto Ko Dekhte To Un Ko Masjid Me Jane Se Manaa Farmate.

Lihaza Aurto Ko Jamaa Na Kiya Jaye.

(Tabarrukate Mubarakah Ko Hamare Gunehgar Hath Na Lagaye Jaye.Sirf Ziyarat Par Bas Kiya Jaye.)

 

Tabbarukat Se Barkat Hasil Karne Ka Saheeh Aur Jaiz Tareeqah Yeh Hai Ke Khas Tareekh Tay Kiye Bagair Logon Ko Jamaa Karne Ka Ehtimam Kiye Bagair Jab Dil Chahe Ziyarat Kare Karaye.

Sahaba Ke Zamane Me Dastoor Tha Ke Kisi Nazar Wagairah Ki Takleef Ho Jati To Ummul Mumineen Hazrat Umme Salmah Radiyallahu Anha Ke Paas Pani Ka Piyalah Bhej Diya Jata.Aap Ke Paas Baal Mubarak The.Unko Chandi Ki Nalki Me Mahfooz Rakha Tha.Pani Me Us Nalki Ko Dal Dete The.Aur Woh Pani Mareez Ko Pilaya Jata Tha.

( Qustalani Sharhe Bukhari J.8/ S.382)

Hazrat Asmaa Radiyallahu Anha Ke Paas Huzoor Salallahu Alayhi Wasallam Ka Kurta Mubarak Tha.Farmati Hai Ke Ham Use Pani Me Dhokar Woh Pani Apne Bimaron Ko Bagarze  Shifa Mareez Ko Pila Diya Karte Hain.

(Saheeh Muslim 2/190)

( Fatawa Raheemiyyah Jadeed Babul Ambiyaa

Jild 3/Safa 40 Se 42 Ka Khulasa Urdu Ki Asani Ke Sath)

Ham Aehle Sunnat Wal Jamaat Tabarrukat Se Barkat Hasil Hone Ko Mante Hai.Lekeen Use Sab Kucch Na Samjhe.Najat To Aamal Se Hogi Bila Amal Wa Ittiba E Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam Sirf Zahiri Muhabbat Ka Dhong Aur Muhabbat Ke Dawe Kafi Nahi.

 

Gair Muqallid-Naam Ke Aehle Hadees Asal Wahabi Tabbarukat Se Barkat Hasil Karne Ko Nahi Mante.

Allah Hame Sachchi Aur Kamil Muhabbato Ishqe Rasol Salallahu Alayhe Wasallam Naseeb Farmayen.Ameen.

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *