GARBA, DANDIYA, NAVRATRI ME SHIRKAT 1510
Hinduon ke tyohaar ‘GARBA, DANDIYA, NAVRATRI ME SHIRKAT‘ karna kaisa hai?
JAWAB: حامدا و مصلیا و مسلما
“GARBA, DANDIYA, NAVRATRI ME SHIRKAT“: Nav-ratri Hinduon ka mazhabi tyohaar hai, jisme woh amba devi ki murti ya tasweer ke tawaf (chakkar) lagaa kar uski pooja karte hain, isme shirkat karna gairullah ko poojne ke baraabar gunah hai, jo kufr aur sakht gunah hai.
Kaaba sharif ke alawah kisi bhi cheez ka tawaf jaiz nahin hai, kufr ke alawah music, gaana gaana ya sunna bad-nigahi, gairon ke saath tallukat wagairah kayi gunah me mubtala hone ka zariyah hai, lihaza is me shirkat iman barbaad karna aur haraam hai.
و الله اعلم بالصواب
ISLAMI TAREEKH : 29 MUHARRAMUL HARAAM 1440 HIJRI
“GARBA, DANDIYA, NAVRATRI ME SHIRKAT”
By: Mufti Imran Ismail Memon hanafi chisti.
Ustad e Darul Uloom Rampura Surat, Gujarat, India.