GUNAH KI AUR JUTHI QASAM KHANA.
SAWAL
- KISI NE QASAM KHAI KE KHUDA KI QASAM ME APNI WALIDAH SE BAAT NA KARUNGA YA ALLAH KI QASAM NAMAZ NA PADHUNGA TO KIYA HUKM HAI ?
- KISI NE QASAM KHAI KE KHUDA KI QASAM YE NUKSAN MENE NAHI KIYA HAI HALAAN KE WOH NUQSAN USI NE KIYA THA TO KIYA HUKM HAI IS KA KAFFARAH DENA PADEGA?
Jawab
- Aesee qasam puree karna gunaah hai, qasam tod de, aur kaffarah adaa kareb.
- Jo baat ho chuki hai us par jhuthi qasam khana bahot bada gunah hai, puchhi hui surat me jhuthi qasam khane se kabeerah gunah ka murtakib huwa. Is gunah ki koi had nahi is ka koi kaffarah nahi bas din raat allah se tauba istigfar kar ke allah se ye gunah muaaf karaye