HAJJ MAQBOOL HONE KI ALAMAT

HAJJ MAQBOOL HONE KI ALAMAT NO. 1494

Mufti Sahab, Mera ‘HAJJ MAQBOOL HONE KI ALAMAT‘ Koi (Nishani) Hai ?

Agar “HAJJ MAQBOOL HONE KI ALAMAT” Hai To Hawale Ke Saath Batane Ki Guzarish.

 

JAWAB:   حامد و مصلیا و مسلما

Ji Haan, Aap Ki Hajj Allah Rabbul Izzat Ki Baargaah Me Maqbul Ho Gayi Uski Alamat Yeh Hai Ke.

HAJJ MAQBOOL HONE KI ALAMAT“: Hajj Ke Baad A’amaal E Saaleha Ka Eahtemam Aur Pabandi Aur Aakhirat Ki Taraf Ragbat Badh Jaaye, Aur Pehli Haalat Se Behtar Ho Jaye,

{Mard Ki Daadhi Na Ho, To Daadhi Rakh Le, Takhno Ke Upar Payjama Na Pahanta Ho, To Pahanna Shuru Karey, Aur Aurat Pardah Na Karti Ho, To Parda Karna Shuru Karey, Aur Dono Sharaee Libaas Ka Ehtemam Karen}.

Is Liye Hajj Ke Baad Apne A’amaal Aur Akhlak Ka Khaas Taur Se Khayaal Rakhna Chahiye, Aur Taa’at Aur Ibadat Me Khoob Koshish Karni Chahiye, Gunaah Aur Burey Akhlak Se Nafrat Aur Parhez Karna Cahiye.

Muallimul Hujjaj Safah 337 Se 341

 

HAJJ MAQBOOL HONE KI ALAMAT“: Yeh Baaten Paida Ho Gayi To Insha’Allah Aap Ka Hajj Qubul Hai. Aap Hamen Aur Poori Ummat Ko Apni Duaao Me Yaad Farmayen.

و اللہ اعلم بالصواب

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *