⭕AAJ KA SAWAL NO.2628⭕
HUQOOQ KI ADAYGI BAHUT ZAROORI HAI AUR HAR EK SE TALLUQ KE KUCHH AADAB HOTE HAIN JISKE ADA KARNE SE DUNIYA VA AKHIRAT ME KAMYABI MILTI HAI.
RASOOLULLAH SALALAHU ALAYHI WASALLAM KE KYA HUQOOQ WA AADAB HAIN?
🔵JAWAB🔵
حامدا و مصلیا و مسلما
Huzoor SALALAHU ALAYHI WASALLAM ki baargah ke aadab wa huqooq darje zail hain.
- Aap SALALAHU ALAYHI WASALLAM par iman lana,
- Aap SALALAHU ALAYHI WASALLAM ki ita`t va pairavi karna,
- Sab se ziyadah Aap SALALAHU ALAYHI WASALLAM se muhabbat karna,
- Aap SALALAHU ALAYHI WASALLAM ke mutalliq sab se afzal hone ka aetiqad karna,
- Aap SALALAHU ALAYHI WASALLAM ke khaatamun nabiyyeen hone ka aetiqad rakhna,
- Aap SALALAHU ALAYHI WASALLAM ke mutalliq masoom va begunah hone ka yaqeen karna,
- Aap SALALAHU ALAYHI WASALLAM ki adnaa (mamooli) mukhalifat se bhi apne aap ko bachana,
- Aap SALALAHU ALAYHI WASALLAM ki muhabbat me gulu (had se aage badhna Ya’ani Allah ta’ala ke saath makhsoos sifaat ko Aap SALALAHU ALAYHI WASALLAM ke liye sabit manne) se bachna
- Kasrat se Aap SALALAHU ALAYHI WASALLAM par duroodo salaam bhejte rehna,
- Ahle bait aur Aap SALALAHU ALAYHI WASALLAM ki aalo awlad se muhabbat rakhna,
- Sahaba Radeeyallahu anhum se muhabbat rakhna.
- Aap ke laye huwe deen ko failane me apni ziyadah se ziyadah jaano maal lagana
📗SUNANO AADAB SAFA22 SE 24 SE MAKHOOZ
و الله اعلم بالصواب