PEHLE KURTA PAHENNA SUNNAT YA SHALWAR?

⭕AAJ KA SAWAL No. 2632⭕

Kapde pahne to pahle aam taur par izar (shalwar) pahle pahni jaati hai, lekin ek aalim se suna ke pahle qamees (kurta) pahanni chahiye kya yah baat hadees se sabit hai?

🔵JAWAB🔵

حامدا و مصلیا مسلما

Ji, tabrani ki riwayat me hai jisko Allamah ibne Hajar asqalani rh. ne saheeh qarar diya hai.

📕(AL ISAABAH 7/120)

Anbiya Alayhissalam tehband (lungi) se pahle kurta pahante the. Allamah manawi rahmatullahi alayhi is se sharah me likhte hai ke anbiya alayhissalam shalwar se pahle qamees pahanna pasand karte the, aur usko pahle pahanne ka aehtamam karte the isliye ke yah poore badan ko dhankta hai aur shalwar sirf niche ke hissah ko hee dhankta hai.

Lihaza agar satar par kisi ki nazar padne ka khatra na ho to pahle kurta pahenna chahiye.

📗AL MUJAMUL KABEER 22/843

📘FAIZUL QADEER 2/532

USTAZE MUHTARAM HAZRAT SHAIKH TALHA MANYAR MAKKI SUMMA SURTI D.B. KI TAHQEEQ SE MAKHOOZ.

و الله اعلم بالصواب

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *