Hz.mahdee Rd.ke Zuhoor Ka Waqt Aur Jaga




Language

Click below for languages:

 

Hz.mahdee Rd.ke Zuhoor Ka Waqt Aur Jaga

⭕AAJ KA SAWAL NO.3383⭕

Hazrat mahdee r.a.kis waqt aur kahan zahir honge?

🔵JAWAB🔵

حامدا و مصلیا مسلما

Aap ki wiladat-paidaish madeena munavvarah me hogi.
Hazrat umme salma Radeeallahu anha se riwayat hai ke aek khaleefa ki maut ke waqt ikhtilaf hoga tab madeena walon me se ek shakhs makkah ki taraf bhag niklega log un ke paas aakar un ko imamat ke liye nikalenge haalan ke woh is ko pasand na karta hoga fir log hajare aswad aur maqame ibraheem ke bich me un se bayat karenge.

📘ABU DAWOOD 2/589

Aap baitul muqaddas (shaam-jerusalem) ki taraf deen ko sar buland karne ke liye hijrat farmayenge

Hazrat mahdee rad.a.ke zahir hone Ka saal ,mahina,din aur waqt ki tayeen-maloomat hadeeson me Nahi dee gai hai lekin un ki tashrif aawree aur us ke baad ummate muslimah ki taraqqee,izzat aur sarbulandi ki yaqeeni khabar dee gai hai aur us waqt ummat ke haalat ki khabar hadees me dee gai hai jis se andaza ho sakta hai ke ab hazrat mahdee ke zahir hone ka zamana qareeb hai.

📗ZUHOORE MAHDEE KAB? KAHAN? KIS TARAH? SAFA 110

و الله اعلم بالصواب

🌙🗓ISLAMI TAREEKH :
RABEEUL AKHAR 1445 HIJR

✍🏻Mufti Imran Ismail Memon Hanafi Chishti.
🕌 Ustaze Darul Uloom Rampura, Surat, Gujarat, India.

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *