IMAM SAJDE ME HO TO IQTIDA

IMAM SAJDE ME HO TO IQTIDA

⭕AAJ KA SAWAL No. 2866⭕

Imam ke pichhe namaz padhne ke liye gaya to imam sajde me pahonch chuke the rakat to mili nahi to kya karna chahiye? Sajde se uthhne ka intezar kare ya sajde me shareek ho jawe?

🔵JAWAB🔵

حامدا و مصلیا مسلما
Hadees me aata hai ke imam ko jis haalat me pawe shareek ho jawe.lihaza sajde me bhi shareek ho jana chahiye sajde se uthhne ka aaj kal aksar log intizar karte hain woh galat tareeqah hai, agarche rakaat nahi mili lekin sajdah sab se pasandeedah namaz ki halat hai woh to adaa ho jaye aur ho sakta hai ke woh sajdah Allah Taala ki baargah me qabool ho jaye.

📗ON LINE FATWA DARUL ULOOM DEVBAND BA HAWALA

📕DURRE MUKHTAR FATWA NO.62203

والله اعلم بالصواب

✍🏻 Mufti Imran Ismail Memon Hanafi
🕌 Ustaze Darul Uloom,
Rampur Surat, Gujarat, India

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *