Language
Click below for languages:
Imam Se Pehle Koi Rukn Ada Kar Lena
⭕AAJ KA SAWAL No.3400⭕
Agar koi muqtadi imam se pehle sajde me chala gaya to us ki namaz ada hui ya nahi?
🔵JAWAB🔵
حامدا و مصلیا مسلما
Agar woh sajde me hee raha aur apne imam ko sajde me paa liya to namaz ho gai agar imam ke sajde me pahonchne se pehle hee apna sar sajde se uthha liya yani imam ke sath us sajde me shirkat bikul nahi hui to woh sajda ada nahi huwa fir us imam ke sajda karne ke baad us infiradi -akele me kiya huwa sajda usee namaz me dohraya bhi nahi aur imam ke sath namaz puri kar li to us ki namaz fasid ho gai.
📗KITABUL MASAIL 1/400
BA HAWALA TAHTAWEE SAFA 185SE MAKHOOZ
و الله اعلم بالصواب
✍🏻 Mufti Imran Ismail Memon Hanafi
🕌 Ustaze Darul Uloom,
Rampur Surat, Gujarat, India