Islam Me Darakht Lagane Ke Fayde






Islam Me Darakht Lagane Ke Fayde

⭕AAJ KA SAWAL No.3238⭕

Islam me har shobe (field) ki rahnumai (guidelines) hai, aaj dunya paryawaran din mana rahi hai to Darakht lagane ke bare me quraan ke mutabiq Tamam insanon ke paigambar ka kya msg hai ?

🔵JAWAB🔵

حامدا و مصلیا مسلما

Muhammad sallallahu alaihi wa aalihi wasallam jis tarah insanon ke nabi hain isee tarah haywanon aur nabataat (paudon aur darakhton) ke bhi nabi hain, woh tamam jahan walon ke liye rahmat (daya) hain, unhon ne farmaya: jis musalman ne koi darakht lagaya us me se kisi insan ya haywan (janwar) ne khaya to us ke liye sadqe (daan) dene ka sawab hai.

📗(BUKHARI SHAREEF )

Aur us ki hifazat, nigrani aur us me hone wali takleef par bhi sawab ke wade aur qayamat tak lagate rehne ki takeed bhi aayi hai.

📚( Mishkat shareef ki ahadees se)

و الله اعلم بالصواب

✍🏻 Mufti Imran Ismail Memon Hanafi
🕌 Ustaze Darul Uloom,
Rampura, Surat, Gujarat, India

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *