Itr (attar) Lagaane Ka Sunnat Tariqah








Itr (Attar) Lagaane Ka Sunnat Tariqah

⭕AAJ KA SAWAL NO.3351

Itr lagane ka sunnat tariqah kya hai?

🔵JAWAB🔵

Itr (attar) ka lagaane ka sunnat tariqah yeh hai ke itr lekar use hatheli me ragade-male. Fir use daadhi aur kapadon me lagaye.

📗 SUNANO AADAAB SAFA 59

📘BA HAWALA MAJMUA ZAWAID BABUB TEEBI BADAL WUZOO JILD 1 SAFA 22
HADEES NO.1233

Daayen (sidhe, right) haath se itr lekar baayen haath ki hatheli par daale, uske baad dono hatheli ko mal len, aur daayen (sidhe, right) taraf se lagana shuru karey hadees dayen taraf se har achchhe kaam ki shurooat karna sabit hai.

Not baz log itr lagene ke liye pehle hatheli ki pith par itr lete hai wahan ki chamdi nazuk hoti hai aur aksar itr me chemical aata hai isliye wahan aelargi ki taklif ho sakti hai lihaz wahan lagane se bachna chahiye.

🌙🗓ISLAMI TAREEKH :
07 RABIUL AWWAL 1445 HIJRI

✍🏻Mufti Imran Ismail Memon Hanafi Chishti.
🕌 Ustaze Darul Uloom Rampura, Surat, Gujarat, India.

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *