Jahez aur Shadi ki Burayion ko Khatam Karne ke Tareeqe
⭕ AAJ KA SAWAL No.3221 ⭕
Hamare muaashare me Jahez, Nikah ke Rasm-o-Riwaj Aur Fuzool kharchiyan Phaili Huyi Hain, Unko Khatam Kaise Kiya Jaye…?
🔵 JAWAB 🔵
حامدا و مصلیا مسلما
Ulama-E-Kiram ke Mashware se, Uske Chand Tareeqe Pesh Kiye Jate Hain, Har Tareeqe par Amal kar ke, Allah se Dua ka Ehtemam Kiya Jaye.
1. Ham Khud Jahez na Lene par aur saadgi se Nikah par Amal karna shuru kar den, Aise chand Hazraat shuru kar denge to Aahista-Aahista ye achcha Tariqa hamare Mu’aashare me chal padega. Log kehte Hain, Koun Amal karta hai..? Unki Talash Ham puri ho jaye.
2. Ulama-E-Kiram aur chand izzatdaar, Baa Asar Logo mil kar, Ek jamat banaye jin ke yahan shadi aanewali ho pehle hi se, Unke ghar ki khaas mulaqat Aisi karen, Jinme Aurten bhi Parde me Bathkar Unki baat sune aur Unko samjhaya Jaye.
3. Jamat aur biradariyon ke zimmedar Elaan kar den, Shadi me is par amal karna har ek ko zaroori hoga.
4. Jin baa asar aur maaldar logo ne nikah sadgi se kiye hain, Unki khoob tareef kee jaye Aur Unke is qadam aur misal ko khoob Aam kiya jaye aur pesh kiya jaye.
5. Har masjid me Teen juma tak isee mau’zua par bayan kiya jaye.
6. Jin Logon ki shadi qareeb me honewali hai, Un logon ko, Un Ghar walon ke sath bulakar Ek Roz ka Khaas Program kiya jaye Aur Unme Akabireen-Allahwalon se bayanat karaya jaye.
7. Samjhane ke Ba’wajood, Jo Naa mane Aise logon ka Boycott kiya jaye, Yani Unki Khushi Aur Gami me Aana-Jana aur Unse Baat-Cheet Wagairah Talluqat khatm kar Diya Jaye.
8. Ulama-E-Kiram aur masjid ke Imam aur Qazi Hazraat Elaan kar den, Jo Rasm-o-Riwaj Ka Nikah Karnewala Hai, Ham Unka Nikah Nahi Padhayenge.
9. Gareeb Logon ke Infiradi aur Ijtemayi Nikah ka intizam kar ke, Sadgi se Nikah karaye Jaye, Jisme Gharelu Zindagi ke Islami Tareeqe ki Taleem bhi Dee jaye.
10. Is Mau’zua par Social Media ke Zariye Images, Audios, Videos Aur Mazaamin Upload kiye jaye Aur use Khoob Share, Forward Kiya Jaye.
و الله اعلم بالصواب
📑MUSLIM PERSONAL LAW KI TAJWEEZ SE MAKHOOZ
🌙🗓 ISLAMI TAREEKH :
30 SHAVVAL 1445 Hijri
✍🏻 Mufti Imran Ismail Memon Hanafi
🕌 Ustaze Darul Uloom,
Rampur Surat, Gujarat, India.