JANAZAH UTHANE KE WAQT TA’KHEER KARNA

⭕AAJ KA SAWAL NO.2498 ⭕

Janazah Uthane Ke Waqt Ka Elaan Kar Diya Ho, Masalan Subah 11 Baje, Aur Maqami Poora Majmaa Aa Gaya Ho, Lekin Baahar Ke Khas Rishtedar Na Aaye Ho, To Unke Intezar Me Ta’kheer Karna Aur Un Rishtedaron Ka Ta’kheer Karwana Kaisa Hai..?

🔵 J A W A A B 🔵
حامدا و مصلیا و مسلما

Masnoon Tareeqah Ye Hai Ke, Murde Ki Tajheezo Takfeen (Kafan-Dafan) Me Jaldi Kee Jaaye, Aur Dur Se Kisi Aane Waale Ka Intezaar Naa Kiya Jaaye, “Sharee Aur Qanooni Majburi Ke Bagair Ta’kheer Karna Makrooh Hai” Isse Logon Ko Takleef Hoti Hai, Aur Ye Tareeqah Behtar Bhi Nahi, Aur Takleef Pahunchati Ho To Jaiz Bhi Nahi.

(Muqarrar Waqt Ke Baad Rishtedaron Ke Intezar Me Jitne Log Pehle Se Shirkat Karne Ko Aaye Hain, Tamam Ko Takleef Hogi. Har Shakhs Apne Karobar Aur Rahaton Aaram Chhod Kar Aaya Hai. Un Tamam Ko Apne Muqarrar Waqt Ke Kaamon Me Khalal Waqai Hoga.

Aur Maiyyat Ki Aakhri Ziyarat Karna Aur Janaze Me Shirkat Karna Shar’an Zaruri Nahi Hai. Apni Zaati Tamanna Aur Sawab Ke Muqable Me Dusron Ko Takleef Naa Pahunche Is Baat Ko Muqaddam Rakhna Chahiye.

Ek Taraf Huzur Sallallahu Alayhi Wasallam Ka Hukm Hai:

اسرعوا بھا الی قبرہ
Isra’u Bihi ILaa Qabrihi {Mishkaat}

“JANAZE ME JALDI KARO”
(Aur isme Ta’kheer Naa karo)

“AUR RISHTEDARON KA HUKM HAI”

TA’KHEER KARO,

(Ab Aap Khud Faisla Kee Jiye, Ke Kis Ki Baat Ko Maanna Chahiye ?
Kis Ki Azmat Aur Muhabbat Aap Ke Nazdeek Ziyada Hai ?

📘AHKAAME MAIYYAT AUR MASAILE MAIYYAT AUR DARUL IFTA BINORIA TOWN SE MAKHOOZ

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *