JANAZEH KE AAGE CHALNA BEHTAR HAI YA PICHHE?

SAWAL

JANAZEH KE AAGE CHALNA BEHTAR HAI YA PICHHE?

JAWAB

HAZRAT  BARAA  BIN  AAZIB RAZIYALAHU ANHU  SE  RIWAAYAT  HAI  KE  RASOOLULLAHI  SALLALLAHU  ALAIHI  WA  SALLAM  NE  HUME  JANAAZAH  KE  PICHHE  CHALNE  KA  HUKM  DIYA  HAI    [BUKHARI]

IS SE  SAABIT  HOTA  HAI  KE  JANAAZAH  MAT’BOOA ( IMAM KI TARAH) HAI  AUR  LOG  TAABEA

(MUQTADEE KI TARAH) HAIN  LIHAZA  JANAZAH  AAGE RAKHNA  AUR  LOGON  KA  PICHHE  CHALNA  AFZAL  AUR  MUSTAHAB  HAI.

JANAZAH  AAGE  AUR  SAAMNE  RAHNE  MAI IBRAT  AUR  NASEEHAT MAUT KI YAD BHI  HAI.

 JANAZAH  KE  AAGE  RAHNA  BHI  JAAIZ  HAI MAGAR  BEHTAR  NAHI, KANDHA  DENE  KE  LIYE  KUCH  LOGUN  KA  JANAZAH  KE  AAGE  RAHNA  BHI  JAAIZ  HAI.

SAB  KA  AAGE  CHALNA AUR  JANAZAH KO  PICHHE  CHHOD  DENA  MAKROOH  HAI

(JAISE KE AAJ KAL BAHUT JAGA HO RAHA HAI)

KANDHA  DENE  KE  LIYE  LOG  LAMBI  QATAAR  BANDHTE  HAI  AUR  JANAZAH  KO  PICHHE  CHHOD  DETE  HAI  YAH  GALAT  TAREEQAH  HAI.

JANAZEH KO KANDHA DENE KE LIYE KUCHH LOG JANAZE KE AAGE QAREEB ME HONA

(DOOR DOOR TAK NA HON) AUR AKSAR LOG PICHHE HON AAGEWALE KANDHA DEKAR PICHHE HAT JAWE

(WAPAS AAGE NA JAYEN) JIS SE PICHHEWALON KO KANDHA DENE KA MAUQA AASANI SE MIL JAYE AESA TAREEQAH IKHTIYAR KIYA JAYE.

FATAAWA  RAHIMIYAH JADEED 7/124 BA HAWALA  DURRE MUKHTAR MAASH SHAMI1/834

ALAMGIRI 1/104

BAHRUR RAEEQ 1/192)

 

ALLAH TAMAM PADHNEWALON KO MAUT KE BAAD KI ZINDAGI KI TAIYTARI KI TAUFEEQ ATA KARE.

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *