JANWAR KO ZABAH KARNE KA TARIQAH & KOTAHIYAN
⭕Aaj ka sawal 2905⭕
Qurbani ke Janwar ka zabah kitni rag katne per hoga ?
Aur Gardan me kis jagah Chhuri chalayi jaye ?
🔵JAWAB🔵
حامد و مصلیا و مسلما
Janwar ke gale me 4 rag hoti hain.
1) Hulqoom, jisse saans liya jata hai.
2) Marri, jisse khana andar jata hai.
3 Aur 4)
Do khoon ki ragen.
4 me se 3 rag kat jaaye to janwar halal ho jata hai aur shar’ee zabah ho jata hai.
(agar 3 rag na kati sirf 1, ya 2 kati aur janwar ki usee halat me jaan nikal gai to janwar halal nahin hoga)
Janwar ki gardan ke kisi bhi hisse me chhuri chala sakte hain, usme bich, kinare ki koi qaid nahin hai.
📗Kitabul masail 2,/245,246
NOTE: Chhuri 4 rag katne ke baad aage chalana makrooh hai sufed rag ya haddi tak pahonchana, isee tarah andar ki dimag ki rag chhuri ki nok se kaat dalna ya gardan ko raan par rakh kar haddi todna, bade janwar me gale ki jhalar sine tak kaat dalna,pura thaanda hone se pahle khaal utarna shurooa kar dena yah sab janwar ko had se ziyadah takleef pahonchana aur zulm aur Makrooh e tahreemi ya’ani bada gunah hai kasaaee ko sakhti se rokna chahiye balke aisi harkat na karne ki baat pahle hi se kar leni chahiye.
و الله اعلم بالصواب
✍🏻 Mufti Imran Ismail Memon Hanafi
🕌 Ustaze Darul Uloom,
Rampur Surat, Gujarat, India