KALEJI KHANE KA SUBOOT WA MASNOON WAQT
⭕AAJ KA SAWAL No. 2906⭕
Ek aalim se suna ke kalejee khane se munh me badboo paida hoti hai isliye agarChe us ka khana jaiz hai lekin huzoor sallallahu alaihi wasallam se us ka khana sabit nahi kya ye baat Saheeh hai?
🔵JAWAB🔵
حامدا و مصلیا مسلما
Hazrat buraidah radeeallahu anhu se riwayat hai ke Huzoor sallallahu alaihi jab eidul fitr ki namaz ke liye jate to kuchh (mithhee cheez) khaye bagair na jate aur eidul azhaa (qurbani ki Eid) hoti to kuchh bhi na khate jab tak ke lotkar wapas na aate.jab lotkar aate to apni qurbani me se sab se pehle us ki kaleji khate.
📘AS SUNANUL KUBRAA LIL BAYHAQEE 3 /401
Aur jab bilal radeeallahu anhu ne un unton me se jis ko luteron se chhudaye ek unt zabah kiya aur us ki kaleji aur kohaan-peethh ke gosht ko bhoona- fry kiya.
📗SAHEEH MUSLIM KITABUL JIHAD HADEES NO 1807
Is ke alawah bhi kai riwayat hai jis se huzoor sallallahu alaihi wasallam ka kaleji khana sabit hai agarChe huzoor sallallahu alaihi wasallam badboodar cheez se parhez karte the lekin saheeh aur saaf riwayat me suboot hone ke bawajood sirf qayas – logic ki bunyad par aesa keh dena un aalim sahab ka Saheeh nahi.
📑HAZRATUL USTAZ SHAIKH TALHA BILAL MANYAR SAHAB DB KE PDF KE MAZMOON SE MAKHOOZ.
و الله اعلم بالصواب
✍🏻 Mufti Imran Ismail Memon Hanafi
🕌 Ustaze Darul Uloom,
Rampur Surat, Gujarat, India