⭕AAJ KA SAWAL NO.2631⭕
Mavjoodah daur me jab jaan salamat nahi To Jivan bima lena kaisa hai ?
🔵JAWAB🔵
حامدا و مصلیا و مسلما
Jivan bima lena kaisi hi haalat ho aur kaisi hi niyyat ho jaiz nahi, kyun ke is me jaan jaati hai to hi raqam aur zaaid raqam wapas milti hai, agar kam umri me jaan nahi jayegi to uski zaaid raqam nahi milegi, ya’ani yah muaamala nafe aur nuqsan ke darmiyan muallaq hota hai, isee ko juwa kehte hai.
Jis ka haraam hona Qur’an se saabit hai, aur jivan bima me intiqal ke baad bhari hui raqam se zaid raqam wapas milti hai, yah sood hai jo sakht haraam hai.
Rahi baat fasadat ki to fasadat me kisi ki jaan jati hai to hukoomat aur company is ko kuchh bhi nahi deti, aur fasadat me maaldaar aadmi jo bima leta hai woh aksar ghar par mahfooz hota hai, aur gareeb aadmi jo apni rozana ki zaruriyat mushkil se puri karta hai uske paas jivan bima aur health bima me bharne ke paise hi nahi hote isliye woh bima lete nahi hai aur jaani nuqsan aksaro beshtar yah thele aur laari le kar karobar ke liye nikalne walon ka hee hota hai, lihaza dukan aur car ke bima ki tarah jawaz ki ijazat jivan bima me fasadat hote rehte hai aisi maqamat par bhi nahi hogi,
Ba’az muftiyane kiraam ne ijazat dee thi unhone ne bhi apne fatwe se rujooa kar liya hai tafsili bahas aur dalail ke liye dekhen
📗 Fatawa qasmiyah jild 20 safa 439 se 458
📘Mahmoodul fatawa 2/474
و الله اعلم بالصواب