Language
Click below for languages:
Mangetar Ko Angoothi Pehnana
⭕AAJ KA SAWAL NO.3406⭕
Aaj kal ye riwaj ho raha hai ke ladka ladki ki mangni hoti hai to ladka ladki ek doosre ko apne hathon se angoothi pehnate hain, phir stage par dono ko aazu bazu me kursi par bithaya jata he, to shareeat ki roshni me aisa karna kaisa hai?
🔵JAWAB🔵
حامدا و مصلیا و مسلم
Shareeat me mangni ek muaahada (aapas ka agreement) hai, is ke hone ke ba wajood dono ajnabi aur naa mahram hi shumar honge, ek doosre ko dekhne ki aur hath lagane ki bilkul ijazat nahi, is me chand kharabiyan paayi jati hai.
1. angoothi pehnane me ek doosre ko hath lagana lazim aata hai, jo badi be hayai, be gairati aur haraam hai hathon aur aankhon ka khula huwa zina hai.
2.Ek doosre ke bazu me bethenge to ladke ko ladkiyan dekhegi aur ladki ko ladke dekhenge, is tarah ka makhloot (mix mail jol) kayi kharabiyan aur fitne ka sabab hai.
3.baz jagah ladke ko sone ki angoothi pehnayi jati hai, sone ka koi bhi zewar mard ke liye haraam hai, sirf chandi ki saade char masha yani 4 gram 374 miligram ki angoothi ki ijazat hai, is se zyadah wazan ki ijazat nahi.
4.saas sasra wagairah ke naraz hone ki fikr ki jati hai, Allah Taala ki narazgi ki parwah nahi ki jati hai, Allah Taala naraz ho gaya ye rishta hone se pehle hi toot jayega, ya hone ke baad bhi ladayi jhagde honge aur barkaten aur sukoon khatm ho jayega.
5.Ba qaidah logon ko jama kar ke is tarah mangni karna Ye gair qaum ka tareeqah hai, Huzoor Sallahu Alayhi wa aalihi Wa Sallam ne farmaya : jisne jis qaum ki mushabahat(copy) ikhtiyar ki kal qayamat ke din us ka hashr usi ke sath hoga.
Lihaza jahan aisa tareeqah apnaya ja raha ho, deendar logon ko chahiye use roken aur karne walon ko samjhayen, logon ne na jaiz kam par rokna tokna chhod diya hai, isliye logon ne gairon ke tareeqon ko bila jhijak aur bila khauf ikhtiyar karna shurooa kar diya hai. Allah Taala hame is se bachne aur bachane ki taufeeq ata farmaye.
📗ISLAAMI SHAADI SE MAKHOOZ
و الله اعلم بالصواب
🌙🗓ISLAMI TAREEKH : 10 JAMADIYUL AWWAL 1445 HIJRI
✍🏻Mufti Imran Ismail Memon Hanafi Chishti.
🕌 Ustaze Darul Uloom Rampura, Surat, Gujarat, India.