KAFIR KE NIKAH KA HUKM
⭕ AAJ KA SAWAL No. 2304 ⭕
Aurat aur mard donon Musalman Ho Gaye to is Surat mein inke nikah ka kya hukm hai
🔵 JAWAB 🔵
حامدا و مصلیا مسلما
Agar donon sath mein Musalman Ho Gaye to Sharee’t unke kufr ki halat ke nikaah ko bhi Mu’atabar samajhti Hai lihaza dobara nikah padhne ki zarurat nahin unka kufr ki halat ka nikah baqi samjha jayega agar donon mein se ek Musalman hua dusra nahin tu nikaah jata Raha ab Miyan biwi ki tarah rahana sahna durust nahi.
DARSI BAHISHTI ZEWAR SAFA 362 SE MAKHOOZ.
و الله اعلم بالصواب
🌙🗓 ISLAMI TAREEKH :
17 RABEEUL AAKHAR 1442 HIJRI
✍🏻 Mufti Imran Ismail Memon Hanafi
🕌 Ustaze Darul Uloom,
Rampur Surat, Gujarat, India.