Kafir Kehne Me Aehtiyaat








Kafir Kehne Me Aehtiyaat

⭕ AAJ KA SAWAL NO.1312⭕

Agar kisi ki kufr ki baat zubani ya likhi huyi baat ham tak pahonche jisme kufr ka matlab bhi nikalta ho to kya karna chahiye uski woh baat sunte hi usko kafir keh sakte hain?

🔵JAWAB🔵

حامدا و مصلیا و مسلما

Allamah Qazi Sanaullah paanipati Rahmatullahi alayhi likhte hai ke dastur quzaat me fatawa e khulasah se naqal kiya gaya hai ke,

Kisi maslah (baat) me chand matlab kufr ke nikalte ho aur ek matlab kufr ka na nikalta ho to fatwa kufr par na dena chahiye, lekin faqeer (Haz. Qazi sahab rh. khud) kehta hun ke khud ko aisi baat jisme ek matlab bhi kufr ka nikalta ho bachana chahiye.

📗MAALAA BUDDA MINHU SAFA 129

Lihaaza kisi ki kufr ki baat sun kar ya padh kar use fauran kafir na kahe balke usse uska maqsad aur matlab kya hai usee ko puchha jaye fir faisla kiya jaye aur woh wafaat paa gaya hai to uski kitab ki ibarat ka jaiz matlab nikalne ki koshish ki jaye, jab tak gaire kufr (ke alawah ka) matlab nikalta ho kufr ka fatwa nahin lagaya jayega

و الله اعلم بالصواب

✍🏻Mufti Imran Ismail Memon hanafi chisti.

🕌 Ustaad e daarul uloom Rampura surat, Gujarat, India.

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *