Khandan Ke Bahar Nikah Ka Hukm
⭕AAJ KA SAWAL No.3365⭕
meri umar 30 saal ho chuki hai, mere khandan se rishte nahi aate hain aur khandan ke bahar se achchhe deendar rishte bhi aate hain, lekin mere walid aur bhai khandan hee me rishta karne ko zaroori samajhte hain aur khandan ke bahar rishta karne ko zillat aur naak katwana samajhte hain.
to in ka ye tareeqah shara’n kaisa hai?
🔵JAWAB🔵
حامدا و مصلیا مسلما
Khandan me rishta karna behtar hai zaroori nahi, saiyyad ke alawah kisi ka khandan (nasab naama) India me mahfooz nahi, aksar bharti log gair muslim ki awlad hain.
apni biradari ke alawah rishta karna yaqeenan jaiz hai.
Huzoor sallallahu alaihi wasallam ne 11 nikah kar ke ummat ko dikhaye, aksar biviyan Huzoor sallallahu alaihi wasallam ke quresh khandan jo sab se ooncha khandan tha, us ke alawa se thi.
Alag alag khandan me nikah karne ka ek maqsad jahalat wali isee rasm ko khatam karna bhi tha, jab rishte nahi aa rahe hain aur alag biradari aur khandan se deendar rishte aa rahe hain to nikah kara dena zaroori hai, khusoosan jab itni sab umr ho gayi hai agar ladki kisi gunah me mubtala hui to us ka wabal aur gunah maa bap par bhi hoga.
Nabi sallallahu alaihi wasallam ne farmaya nikah char cheezon ko dekh kar hota hai: maal, jamal, khandan aur deendari, jis ne deendari ko dekh kar nikah kiya woh kaamyab ho gaya.
📑ONLINE FATWA DARUL ULOOM DEOBAND, FATAWA NO.4031 SE MAKHOOZ
و الله اعلم بالصواب
✍🏻 Mufti Imran Ismail Memon Hanafi
🕌 Ustaze Darul Uloom,
Rampura, Surat, Gujarat, India