Kin Janwaron Ki Qurbani Na Jaiz..?
SAWAL
Janwaron ke wo uyoob (khamiyan) kya hai jin se qurbani jaiz nahi hoti..??
JAWAB
★ Qurbani ke janwaron ke uyoob, niche diye huwe janwaron ki Qurbani jaiz nahin.
- Jiska ek sing jad se ukhad gaya ho.(dimag tak asar hogaya ho)
- Andhaa ho.(chahe 1 aankh se aandha ho)
- Itna Kaanaa ho ke uska kaanaa pan malum hota ho.
- Itna langda ho ke khud chal kar QurbanGaah tak na ja sake.
- Itna bimaar ho ke uski bimari saaf tor par zaahir ho.
- Jiska kaan, Aankh, Punchh wagerah aa’za 1/3 (teesre hisse) se ziyada kat gaya ho.
- Pedaishi Daant na ho, ya aksar daant gir gaye ho ke ghaas-chaara na kha sakta ho.
- Aisa paagal ho ke ghaas-chaara na kha sakta ho.
- Khujli wala janwar jo(khujli ki wajah se) bahot dubla aur kamzor ho gaya ho.
- Jiska Aanchal(than) sukh gaya ho ya cut gaya ho ya 1/3 se ziyada cut gaya ho.
- Bakri, Ghenti-dumbi ke 1 Aanchal ka siraa na ho, chahe cut gaya ho ya kisi aur wajah se na ho.
- Jis Gaay, Untni ke Aanchal ki 2 sirey khatm ho gayi ho.
- Aisa janwar jiska khaana NaaPaki aur Gandki ho.
- Jis gaay ya bhensh ki zuban puri ya 1/3 se ziyada cut gayi ho.
- Itna kamzor ya dubla janwar jiska haddi ka gooda baaqi na raha ho.
- Khunsa-hijdaa jis me Nar aur Maada dono ki sharmgah ho.
masaile qurbani m.rafat
khulasatul fatawa 4/320
fatawa raheemiyah 3/383
IMRAN ISMAIL MEMON HANFI GUFIRA LAHOO
MUDARRISE DARUL ULOOM, RAMPURA, SURAT, GUJRAT, INDIA.