kiya istikharah ke liye namaz padhna ya sona zarooree hai?

Istikhaarah ki mukhtasar duaa kon see hai?

kiya istikharah ke liye namaz padhna ya sona zarooree hai?

JAWAB

Hazrat Abu bakar Siddiq Rd. Farmate hai ke

Aap Sallallahu alaihi wasallam

Jab kisi kaam ke Shuru karne Ka irada Farmate

Toa

Ye Duaa karte the.

الهم خر لی ولختر لی

“Allahumma khirlee  wakhtarlee.””

Tarjumaa

Ay Allah mere Liye khair ko pasand farma

Aur Mujhe chun kar chhant kar de

baihaqee fee shoabil iman/204

Al” jaameus”$ageer

tirmizee.2/191

Istikharah ke liye namaz padhna aur sona zarooree nahi

ISLAAHI KHUTBAAT

HADEES KE ISLAAHEE MAZZAMEEN

FAIDAH

Ye inabate Rujua”

illallah hai ke har kaam ke shuru.me

Allah taala se

madad Aur iaayat chahe

Ke usi Qudrat me Tamam bhalaaiya Aur Achchhaiya hai.

Aur

Usike qabze me har kaam Ka  Achchha Anjaam hai

Aur

Momin ki shaan hai ke

Woh

Apne Har kaam ko khuda ke hawale kare

Aur usise khair chahe .

Ye Dua mukhtasar istekhara bhi hai jab koi kaam Ka fouri  karna ho

To ye Dua padhte rahe

InshaaAllah koi khair ki baat dil me Allah taala ki.taraf se Aajayegi.

Buzurgo Ka mamul bhi hai.

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *