AAJ KA SAWAL No. 2606
Ek aadmi apni hayati hee me apna maal aur jaydad taqsim karna chahta hai.
Yah marne se pehle hadiya hone ki wajah se ladka ladki ko barabar barabar dena chahta hai aur bivi ko kuchh bhi dene ka iradah nahi to kya hukm hai?
JAWAB
حامدا و مصلیا مسلما
Bakhshish aur hadiya me ladka ladki ko barabar barabar dena to saheeh hai. lekin bivi ko mahroom karna maqsad ho to gunehgar hai.
MAHMOODUL FATAWA 8 /356
و الله اعلم بالصواب