LUQTA KI TA’REEF AUR HUKM

⭕AAJ KA SAWAL No. 2776

Luqta kise kehte hai use kab uthana chahiye aur kab nahi?

🔵JAWAB🔵

حامدا و مصلیا مسلما

Luqta ki Ma’ani he: Kisi cheez ko uthana yani lena, Istilah me- sharee’at ki zaban me Luqta kehte he kisi ka khoya hua maal jise dusra shakhsh utha le, chahe wo rupiye peaise ho ya sona- chandi ya koi aur saman balke lukta Hevan(janvar) bhi ho sakta he jese Gumshuda Untni, Gay, Bakri Vageirah. Luqta ka hukma ye he ke Agar zayi’a Hone ka Andesha ho Balke Galib Guman ho Yani Nahi Uthayega to zaye Ho jayega to uska Uthana aur Asal Malik Tak Pahuchana Vajib he, Aur Agar zaye Hone ka Andesha Nahi he aur Apne Aap per Itminan bhi he ke Kama Haqqahu uski Tash’hir adorotis kar sakega to Uthana Mushtahab he Aur agar khud per Itminan Nahi he to Us ko Nahi Uthana behtar he.

📗FIQHEE ZAWABIT 1/417

📘BA HAWALA SHAMI
و الله اعلم بالصواب

✍🏻 Mufti Imran Ismail Memon Hanafi
🕌 Ustaze Darul Uloom,
Rampur Surat, Gujarat, India

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *