MAA KI WAJAH SE BIVI KO DAANTNA
⭕AAJ KA SAWAL No. 2971⭕
Agar meri bivi meri maa ki baat nahin maanti ho to kya me use daant sakta hun?
🔵JAWAB🔵
حامدا و مصلیا مسلما
Agar aap ki bivi aap ki maa ki baat nahin maanti hai to pehle use aapko pyar mohabbat aur narmi ke saath akele me samjhaana chaahiye ki hamaari maa aapki maa ke barabar hai, uski farmabardari aur khidmat ko apni sa’aadat aur khush naseebi samajhna chaahiye.
aur saas bahu ko apni beti maane, use ghar ka naukar na samjhe, aur har mumkin saath de, kaam ka zyadah load ho to naukrani ka intizam mumkin ho to zaroor kare.
Maa ki jismani khidmat bivi se lene ke bajaye beta apni zimmedari samjh kar jitna ho sake khud kare.
Bivi ko maarne-peetne se jahaan tak ho sake aihtaraaz kare (bache), chhoti-chhoti galtiyon ko nazar andaz kare (dhyan na de), aur achchha sulook aur vyavahaar rakhe.
Haan zaroorat ke waqt tambeeh (chetaavani) dene ke liye daantne ki bhi gunjaish hai.
lekin use is baat ka dhyaan rakhna chaahiye ke woh logon ke saamne usey daante nahin taaki uski izzate nafs (svaabhimaan) ko thes na pahunche, balki use aisa karna chaahiye ke akele mein daanten, aur yeh achchha hai ki daantne ke bajaaye use pyaar aur mohabbat se samjhaye.
🗃️daarul-ifta daarul uloom deoband
Fatava no: 155848
و الله اعلم بالصواب
✍🏻 Mufti Imran Ismail Memon Hanafi
🕌 Ustaze Darul Uloom,
Rampura, Surat, Gujarat, India