MAIYKE AUR SUSRAL KA HUKM

⭕AAJ KA SAWAL No. 2734⭕

A. Shohar ne agar shaadi karke apni biwi ko uske mayke hi me mustaqil chhod rakha hai Goya ghar jamai ban gaya hai to us shohar ke liye wo muqaam kya kehlayega?

B. Bivi apne susral me nayi shadi ke baad rukhsat hokar mustaqil rehne nahi lagi hai aksar maiyke me rehna hota hai jabhi susral jati hai to susral me namaz puri padhegi,?

🔵JAWAB🔵

حامدا و مصلیا مسلما
A. Woh maqaam watane Ta’hhul ke darje me hoga. Aur waha agar thodi Der ke liye bhi jaaega to namaz poori padhega.

B. woh biwi jo apne mayke hi me rah rahi hai aur rukhsat hokar shohar ke ghar (sasural) jaakar mustaqil muqeem nahi hui hai agar kisi waqt kuchh din ke liye apni sasural jaayegi to jab tak 15 din qayam ki niyyat na ho to wo qasr hee karegi. Kyuki mustaqil mayke me qayam ki wajah se sasural uske watane Asli ke darje me nahi bana hai.

📕 KITABUL MASAIL 1/556
و الله اعلم بالصواب

✍🏻 Mufti Imran Ismail Memon Hanafi
🕌 Ustaze Darul Uloom,
Rampur Surat, Gujarat, India

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *