MARNEWALE SHAREEK KI QURBANI

MARNEWALE SHAREEK KI QURBANI

🔴Aaj ka sawal No.2900🔴

Agar Bade Janwar me Hissa lene wale kisi Shareek ka qurbani se Pehle Inteqal ho jaye to us hisse ki qurbani ka kya kiya jaye?

🔵Jawab🔵

حامد و مصلیا و مسلما

Agar Bade Janwar me Hissa lene wale kisi Shareek ka qurbani se Pehle Inteqal hojaye aur uske Variseen(vaarsdar) Sab Aaqil ho(pagal na ho) aur Balig ho, voh sab uski taraf se Qurbani ki Ijazat de to ye Qurbani Durust Hogi, Aur Agar Tamam Variseen Ya Unme se koi Ek Varis Ijazat Na De aur Tamam Varisin ya un me se koi Ek Nabalig Ya Gair Aaqil yani pagal Ho to un ki ijazat ka aetibar na hoga Aeisi surat me Agar Maiyyat Ka Hissa Laga diya aur use wapas na kiya jaye to Us Janwar me Shareek Kisi bhi Hissedar ki Qurbani Durust Na hogi, Kyunki Maiyyat ka Hissa Qurbat-sawab ka Na rahega.

📕KITABUL MASAIL 2/208
BA HAWAL
📗DURRE MUKHTAAR 9/471

✍🏻Mufti Imran Ismail Memon Hanafi Chishti.
🕌 Ustaze Darul Uloom Rampura, Surat, Gujarat, India.

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *