Chand aadmi ka ek ki taraf se naflee qurbani karna
⭕sawal no.2899⭕
Ek se zaaid aadmi milkar Huzoor ﷺ ki taraf se ya apne marhoom rishtedar ki taraf se qurbani karen to qurbani sab ki taraf se sahih hogi ke nahin ba hawala jawab den
🔵Jawab🔵
Haan ek se zaaid aadmi Huzoor ﷺ ya Rishtedar marhoom ki taraf se qurbani karen to istihsanan (khilafe qiyaas-aql maslihatan) nafli qurbani isale sawab ki niyyat se saheeh ho jayegi.
1.📕Fatawa mahmoodiyah dabhel 17/326 bahawala durre mukhtar
2.📗Fatawa raheemiyyah darul isha’at 10/57
3.📘Kitabun nawazil 14/527 se 529
وان مات احدالسبعة وقال الورثة اذبحوا عنه وعنكم صح عن الكل استحسانا لقصد القربة من القربة
.شامي جلد 6/326 کتاب الاضحیہ مکتب سعید
و الله اعلم بالصواب
✏Mufti Imran Ismail Me; mon
🕌Ustaad e daarul uloom
Rampura surat, Gujarat, India