MEDIA PAR MUAAFI NAME KA HUK
AAJ KA SAWAL NO.1342
Jese hi shabe baraat qareeb aati jati hai sosiyal media par muaafi naama kasrat se aane lagta hai aur log aage forwad karne ko bhi ek farizh samjhte hai aur ye bhej dene se mutmain ho jate hai ke muaafi ho gai aesa karna kaisa hai is bare mesharee rahnumai farmaiye?
🔵JAWAB🔵
حامدا و مصلیا و مسلما
Ye baat sahih he shabe bra’at me jab aam magfirat ka elan hota he to kuchh kam nasib is raat ki rahmat wa barkat wa magfirat se mahroom reh jaate hein, un me Qata Rahmi karne wala-reshtah todne wala bhi he. Is liye log Is raat ke aane se pehle hi muaafi mang lete hein. Ye ek bahut achhi baat he, Lekin…
① shabe bra’at hi ka kyu intezar karein, maut kabhi bhi aa sakti he, agar kisi musalmaan ka dil dukhayaa he to fauran muaafi maang lein.
② Rishtedaro se sila rahmi-achchhe sulook ka hukm he, jese maa baap bhaai bahan dada dadi nana nani shohar biwi or qaribi rishtedaar dil to in logo ka tode or whatsapp par un logo se muaafi maange jin ko kabhi dekha bhi nahi, jin ke sath koi rishtedari nahi, jin ka kabhi dil toda nahi……!!!!
Ye kesi Aqalmandi he ?
pehle maa baap bhaai bahan dada dadi nana nani shohar biwi or qaribi rishtedaar rishtedaro se muaafi mange fir dusro ka rukh karein.
③ Agar waqai kisi ka dil dukhaya he to pehle us ki minnato samajat karein, us ka dil khush karein, maali nuqsan poh chaya he to us ki bharpaai kare, qarza, wirsah nahi chukaya hai to pehe woh ada kare phir Muaafi Naama likhein.
➧Is tarah sirf whatsapp wagera ke rasmi msgs Muaafi Naama nahi balke us ka Mazaak he.
Aaj musalmano ko aapasi jhagre khatm kar ke ikhtilaaf ko door karte huwe ittihaad ka mahol banane ki zarurat he, is ke liye sachchi muaafi zaroori he. Allah hame taufeeq ataa farmaae. (Ameen)
✒ ᴀʙᴜ ᴍᴀʜᴍᴏᴏᴅ ᴜsᴍᴀɴɪ
و الله اعلم بالصواب
✍🏻TASDEEQ WA TASHILO IZAFA Mufti Imran Ismail Memon hanafi chisti.
🕌 Ustaad e daarul uloom Rampura surat, Gujarat, India.