MEELAD KI SHURU’AAT..!

⭕ AAJ KA SAWAL No.2620 ⭕

Rasmi Meelad ka Sil-Sila Kab Aur Kahan Se Shuru Huwa..?

🔵 JAWAB 🔵
حامدا و مصلیا مسلما

Mehfil-E-Meelad Chhe Sadee (6 Century) Guzarne ke Baad, Sultan Arbal ke Zamaane se Shuru Huwa hai. Jaisa ke Tareekh Ibne Khalqaan mein hai, Aur Usee waqt se Ulama Uski Tardeed (Mukhalifat) Karte Aa Rahe hain.

📗 FATAWA MAHMOODIYAH 3/87
KITAABUN NAWAAZIL 1/551

Barelvi Hazraat ke Hakeem-Ul-Ummat, Mufti Ahmed Yaar Khan Naeemi Farmate hain, Ke “Imam Sakhaawi Rh. ne Farmaya ke, Milad Shareef Teeno Zamaanon mein Kisi ne Naa Kiya, Baad me Ijaad Huwa.”

(Jaal al Haq : Safa 236)

Barelvi Maulvi Faiz Ahmed Owaisi Likhte hain ke Waqai Salaf-o-Saleheen ne Ye Amal Nahi kiya.

(Gausul Ibaad : Safa 50)

Barelvi Allama Ghulam Rasool Saeedi Farmate Hain Ke ‘Mehfil-E-Milad ki Haiyyat-E-Ijtimayi Har Chand ke BIDDAT hai.
(Sharah Muslim : Jild 3 : Safa 185).

Huzoor Sallallahu Alaihi Wasallam Peer ke Din Roza Rakhte The Aur Farmate the ke, Meri Wiladat Peer ke Roz Huyi. Isliye Mai Roza Rakhta Hun (Mishkat).

Sunnat Tareeqe Par Wiladat Manana Ho to Roza Rakho. Ab Jis Din Wiladat Huyi, Us Din Eid Manana Kaise Jayaz Hoga..?

Eid ke Din Roza Rakhna Haraam Hai, Pyare Aaqa ne Us Din Roza Rakh kar Eid ka Tasawwur kee, Jad hi Kaat Dee.

Us Din Manane ka Tasawwur Aur Halaat Us Waqt Bhi Maujood the, Isaee-Nasara Isa Alaihis Salam ki Paidaish Manate the, Phir Bhi Naa Huzoor Sallallahu Alaihi Wasallam ne Us Din ko Eid Manayi, Naa Sahaba-E-Kiram RadiAllahu Anhum, Jinki Ittiba Ka Hamko Hukm Hai,

Aur Ham Apne ko Ahle Sunnat Wal Jamat, Yaani Sahaba ki Jamat ki Pairvi Karne Wala kehte Hain, Naa Tabaeen ne, Naa Tab-E-Tabaeen, Naa Charon Imam ne, Naa Charon Sil-Sile Kisi Buzrugon ne. Lihaza Ye Eid Manana Gairon ka Tareeqa Aur Bid’at Thehra. Gair Bhi Raam Jayanti, Krishn Jayanti Wagairah Manate Hain, Us Din Cake Kaatna Birthday Manana Bila Shubah Yahoodi Aur Isaiyon ka Tareeqa Hai. Jis Par Sakht Waeed hai. Lihaza Is Se Bachna Chahiye.

و الله اعلم بالصواب

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *