Aitekaf kise kehte hai ?

SAWAL

Aitekaf kise kehte hai ?

Aur aurton ko aetikaf karne ka kiya tareeqah hai?

JAWAB

★Aadmi ka Aitekaf ki niyyat se aisi masjid me thaherna jis me paancho 5 waqt ki namaz baa-jamaat hoti ho,

★Aurat ko apne ghar ki masjid me Aitekaf karna chahiye,

★Agar ghar me koi jagah masjid ke liye mutayyan na ho to koi kone (corner) ko makhsus (tay) kar den,

★Aurton ke liye Aitikaf ba-nisbat mardon ke ziyada sahal (aasaan, easy) hai ke ghar me bethe bethe ghar ka karobar bhi ghar ki ladkiyon se leti rahe aur muft ka sawab bhi leti rahe, ★

Magar iske bawajud bhi aurten is sunnat se goya bilkul hi mahrum rehti hai,

★Hanfiyyah ke nazdik Aitekaf ki teen 3 surten hai,

★1. Wajib jo kisi mannat ya nazar ki wajah se ho, jaise yun kahe ke mera fulaan kaam ho gaya to itne din ka Aitekaf karunga, ya bagair kisi kaam par mawkuf rakhne ke yun kahe ke meine itne din ka Aitekaf apne upar laazim kar liya to ye Wajib hai, aur jitne dino ki niyyat ki hai utna pura karna wajib hai.

★2. Dusri surat Aitekaf ki Sunnat hai, Jo Ramzanul Mubarak ke aakhri ashre-das din ka hai ke nabi e kareem sallallahu alayhi wasallam ki aadate sharifa in ayyam ke Aitekaf farmane ki thi,

★3. Teesra nafl Aitekaf, Jiske liye na koi waqt, na ayyam ki miqdaar, jitna ji chahe kar len, hatta ke koi shakhs tamam umr ka Aitekaf ki niyyat kar len tab bhi jaiz hai,

★Imaam muhammad rh. Ke nazdeek thodi der ka bhi jaiz hai, aur isi par fatawa hai, is liye har shakhs ko munasib hai ke jab masjid me dakhil ho Aitekaf ki niyyat kar liya kare, ke jitna namaz wagerah me mashgul rahe Aitekaf ka sawab bhi hai.

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *