MEERAS KAB TAQSIM KARE ?

⭕AAJ KA SAWAL NO. 2549⭕

Iintiqal ke kitne din ke baad marhoom ki meeras (wirsa) taqsim karna chahiye?

🔵JAWAB🔵

حامدا و مصلیا مسلما

Shareeat ka hukm hai ke tarakah (maiyyat ke chhode huve maal) me jin huqooq ki adaygi wajib hai, Masalan kafan dafan ka kharch, qarza, jaiz wasiyyat ho to uski adaygi ke baad baaqi meeraas jald warison ke darmiyan taqsim kar dee jaye.

Taakheer hone se bahut ziyadah pechidgiya (dushwariyan) aur bad-gumaniyan paida ho jaati hai, baaz martaba ziyadah taakheer hone se taqsime meeras me sakht uljhane aur mushkilat paida ho jaati hai. maslon ko hal karne me pareshaniyan ho jaati hain. aur haq-talfi tak ki naubat aa jaati hai.

Ye khyaalat bilkul bekar hai ke marhoom ka tarkah (wirsah) fauran taqsim kiya jaye to duniya yah kahegi ke bas isee ka intizar tha ke marhoom ki aankh bandh ho aur uske maal saman par qabzah kar liya jaye,

magar Allah Ta’ala ke hukm ke aage yah sab khyalat aur jazbaat bekar hai, sab warison ko bata diya jaye ke tarkah ki taqsim Allah Ta’ala ka hukm hai, lihaza uske mutabiq jald se jald Amal kiya jaye.

📗AHKAAME MAIYYIT SAFA 185

و الله اعلم بالصواب

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *